internet ki jankari hindhi me

                                                                                                                                                                                                        

Friday 10 June 2016

Mobole ko root karne hoya kya hay aur rooting ke fayde aur nukasan

Android Smartphone ko Root krna
aapne toh suna hi hoga agar nahi
suna hai toh aap iss post me
apne Android Smartphone ko Root
Krna Sikh jayenge. Android phone
ko root krne ke baad usme bahut
se changing aa jati hai . Aap apne
android phone ko apne tarike se
customize (Use) kar skte hai. Aap
phone ke Jad(“Root”) tk ja skte hai
aur apne phone ke sath kuch bhi
kar skte hai.


Android Phone me
Rooting Kya Hoti hai?

Phone rooting ka seedha matlab
phone ke OS ke jad (जड़) tak
pahuchna hai aur usme manchahe
badlaw krna. Root ke dwara aap
apne phone ka Interface , Locking
System , Pre-Installed App( Phle
se Installed App) ko apne hisab se
change kar skte hai . Basically ,
Phone root me jo OS yani Android
Ka Software install hota hai uske
jagah par Custom Android OS
daalte hai .
Apne Phone ko root krne se phle
aapko Rooting ke fayde aur Nuksan
ke Baare me jaanna bahut hi
jaruri hai . Kyuki agar aapne kisi
bhi instructions ko Halke me liya
toh aapka phone dead ho skta hai
.Isliye aap niche diye gaye Fayde
aur nuksan ko dhiyan me rkhte
huye apne phone ko Root kare .
Rooted Mobile kyu
hai Jaruri????
Dosto Root karne se phle hume ye
janna jaruri hai ki rooting kyu
jaruri hai. Aapne playstore me
dekha hoga ki bahut sare
applications hai jo sirf rooted
phone me hi kaam karte hai.
Aur agar aapko phone ke sath kuch
experiment krna hai toh yah sirf
rooting ke baad hi possible hai hai.
Rooted Mobile ke
Faide????
Do anything( Change UI): Sbse
phle agar rooting ke fayde ki baat
kare toh, rooting se aap apne
phone me kuch bhi kar skte hai
mtlb kuch bhi. Agar aapko thoda sa
Android se related Technology ke
bare me pta hai toh aap apne
phone ke UI( User Interface) Ko
change kar skte hai.
Boost Your Phone: Aajkl ke phone
me phle se hi kuch app install hote
hai toh aap un aap ko
Uninstall krke apne internal
memory ko badha skte hai. aur
aajkl playstore par Rooted phone
ke aise aise software/apps
available hai jinki help se aap
apne phone ko High-Advance bna
skte hai. Aise aap rooted phone ke
liye isliye available hote hai kyuki
rooted phone me apps ko Phone ke
andar tk jaane ka permission mil
jata hai.
Battery Life, Processor Speed: Itna
samajh liye phone ko root krne ke
baad aap apne phone ke sath bahut
kamaal kr skte hai chahe wo
Battery life ki baat ho yaa
customized User Interface ki. Aap
apne processor ko Overclock ya
Underclock kar skte hai. Iska
matlab ye hai aapka processor
speed aap badha skte hai ya ghta
skte hai. Ye aapke upar depend
karta hai.
Ad-free App: Apne phone ke Sleep
time ko bhi badha skte hai. Phone
pe aane wale advertisement ko bhi
khata kr skte hai. Aap custom Rom
install kr skte hai. Custom ROM ko
install krne se aapko Nye Nye
Options bhi mil jate hai.
Toh aap dekh skte hai ki aapke
phone ko root karne ke baad kitni
possibilities badh jati hai .
Mobile Root karne ke
Nuksan????
Warranty Problem: Agar Rooting ke
Nuksan ke bare me baat kre toh
sbse phle baat aati hai ki Phone ki
warranty chali jati hai. Kyuki
Rooting me aap apne phone ke
security lock ko bhi tod ke Phone
ke root tk jate hai. Warranty wala
mamla sirf badi company jaise
Samsung ,HTC ,LG ,Sony ,
Motorola me hai jbki Xiaomi, One
Plus jaise phone Rooting allow krti
hai .
Phone May Dead: Aapko root karte
samay sabhi instruction ko follow
krna hota hai nahi toh aapka phone
dabba ho jayega. Toh root karne se
aapko dhiyan dena jaruri hai.
Phone ko root krne ke baad agar
aapne kisi bhi publisher ka app
install kiya toh agar koi virus
attack hota hai aapke phone pr toh
uske jimmedaar sirf aap honge.
Only Custom OS can Install:
Android ka koi bhi latest version
aapko phone ke company
dwara nahi milegi. Aapko custom
OS mil skta hai. Jisko Aap apne
phone me install kr skte hai. Aur
haa rooted phone me Apko Wallet
se related koi app nahi milega.
Upar jo bhi maine fayde aur
nuksan btaye hai agar aapko in
nuksan se koi fark nahi pdta hai
aur aap apne phone ko root krna
chahte hai toh chaliye mai btata hu
ki aapko root krne ke liye kya krna
hai. Niche diye gaye jo bhi steps
hai aapko follow krne hai .
Also Read: Mobile ko Hang hone
se Bachane ke 10 Tarike
Android Phone Root
Karne ka Tarika
Step 1: Aap sbse phle apne PC me
KingoRoot Software download kar
lijiye .
Download Button par click karke
kar sakte hai.
DOWNLOAD KINGROOT
Step 2: Software install karne ke
baad jb aap usko open krenge toh
Phone ko connect karne ke liye
kahega.
Step 3: Phone ko connect krne se
phle Settings me Jaakar USB
Debugging ko On kr de.
USB debugging ka option aapko
developer Options me milega.
Note: (Agar aapka Developer
Options show nahi kr rha hai toh
aap Build Numbers par lagataar 7
baar Tap kare . Fir aapko About
phone ke option me Developer
Options show krne lgega.)
Step 4: Phone PC se connect hone
ke baad Aapko ROOT krne ka
option milega. Aap Root pr click
kar dijiye aur Aage ke Information
ko pdhte huye aage badhte jaye .
Step 5: Jaise hi Rooting Process
khatam hoga. Wha par finish likh
kar aa jayega Iss tarah se aapka
phone root ho jayega.
Desclaimer: Phone ko root
karte samay phone me koi
bhi problem aane par Hindi
Me Help or Meri (Rohit
Mewada) ki Koi Jimmedari
nahi hai. Kyuki maine aapko
phle hi btaya hai ki Phone ko
root karte samay aapko
instructions ko pdhana bahut
jaruri hai. Jo bhi karna hai
aapko apne risk par karna
hai.
Dosto agar aap apne phone ko root
krna chahte hai aur aapko kisi bhi
step me problem ho to aap sidhe comment kar skte
hai.
Share:

0 comments:

Post a Comment

                                                                              

Blog Archive

Recent Posts

Unordered List

Definition List